Internet Security
❖ Internet Security -: Network tatha Network par uplabdh suchnao
data tatha software ko un- authorised persons se door rakhna tatha
user dwara hi inka upyog sunishchit karna Internet security kahlata
hai.
❖ Internet Secutity ke mukhyatah teen bhag hai.• Authentication• Access control• Cryptography
❖ Authentication- Users ki log in ID tatha password se pata lagaya
jata hai ki user valid hai ya invalid yahi authentication hai.
❖ Access control:- Kuchh vishesh data tatha suchnao ke uplabdhta
tatha users ke liye sunishchit karna Access control kahalata hai.
Isme Finger print, Voice Recognition aur Card aadi ka upyog kiya
jata hai.
❖ Cryptography:- Suchna ya data ko internet par bhajne se pahle data
ko incorrupt karke bheja jata hai. Use prayog se purve convert karna
Cryptography kahlata hai.
❖ User Identification:- Computer tatha network par unauthorised
person ki pehchan karna user Identification kahlata hai.
❖ User Name tatha Password:- User ki pehchan karne ke liye Email ID
tatha password ka upyog kiya jata hai. Isme kewal authorised
person ko hi computer data tatha Network ka upyog karne diya jata
hai.
• Password surakshit karne ke upay▪ Password mein letter nos special character mix hona
chahiye.▪ Password mein capital letter aur small letter ka upyog
kiya jana chahiye.▪ Password bahit chhota nahi hona chahiye.
❖ System Administrator:-Kisi bhi coy mein sabhi tarah ke system
Hardware tatha software ke liye responsible mana jata hai jisme
operating system Installation se laker Hardware tak ki process
system Admin ke pass hoti hai. Yahi system Administrative kahalata
hai.
❖ Telnet:- Command TCP/IP Network ka Terminal Emulation Program
hota hai jiski help se user remot device ko connect kar sakta hai. Tell
Net Kahlata hai. Telnet command ki help se kisi bhi remout device
ko manage kiya ja sakta hai.
❖ Keylogger:- Yeh Computer Program software hai jo personal
computer par ho rahe sabhi activity ko record karta hai. Tatha use
ek jagah par store karta hai. Yahi keylogger kahalata hai.
Search document, key store, Mail,
URL aur sabhi tarah ke password ke information ko record karta hai
yeh do prakar ke hote hain.▪ Software Key Logger▪ Hardware Key Logger
❖ Spyware:- (Jasoos) Yeh ek software program hota hai jiska uddeshy
computer user ke spyware ki tarah kary karta hai. Yeh software
computer tatha Mobile mein chhoti- chhoti Information ko Ikatha
karke server par store karta hai. User Name tatha password ko bhi
store kiya jata hai.
❖ Trojan Horse :- Yeh ek prakar ka virus hota hai. Jo utility program ko
nuksan pahuchata hai. Jab utility software ko chalaya jata hai to
Trojan Horse virus background mein run hota hai. Iska upyog
unauthorised person ka data nasht karne ke liye kiya jata hai. Yeh
computer ka sabse bada virus hota hai.
❖ Scareware:- (Darana) Yeh Computer virus ka ek prakar hai jo
Internet se jude kai Computer ko Prabhvit karta hai Scareware
download karte hi virus computer mein Inter ho jata hai.
❖ Malware :- Malware ka poora naam Malicious software hai. Yeh
computer mein nuksan pahuchane ka kary karta hai. Ex- Worm,
Spyware, Trojan Horse, Keylogger, malware ke udahran hai.
0 Comments